• Home
  • Gallery
    • Audio Naats
    • Audio Bayan
    • Islamic Videos
    • Al-Quran>
      • Listen QURAAN E PAK and Kanzul Eeman Translation
  • Service
    • Free SMS Service
    • Events: Jalsa & Ijtema
    • Contact Us
  • Islamic
    • Islamic Softwares Downloads
    • Live MADANI CHANNEL
    • Qibla Directions
  • Kalaam E Paak
    • Live Q&A of Huzur Tajushshariah
    • Kalam E Huzur Tajushariah
    • Kalam of Ameer E Ahle Sunnat
  • Books Library
  • About
    • About Huzoor Mufti E Azam Hind RahmatUllahAlaih
    • About Huzoor Shahbaz e Deccan
  • Beliefs of AHLE SUNNAT

Namaz-e-Taraveeh 20 Rakat hai

4/26/2013

 
  • Namaz-e-taraveeh ki rakatain 20 hoti hain aur sari he sunnat-e-moaqada hoti hai, 8 rakat perhna khilaf-e-sunnat hai. Taraveeh tervia ki jama hai aur tervia kehty hain jism ko rahat deina, kyun k taraveeh main her 4 rakat k baat kuch deir beithty hain es liay es beithny ko tervia kaha jata hai, jama kum az kum 3 per booli jati hai, ager taraveeh ki rakatain 8 hooten tou es k dermiyan main aik tervia aata phir es ka naam taraveeh na hota kyun k 3 tervioonk liay kum az kum 16 rakatain chahiyain, jin main her 4 rakaton k baad aik tervia ho aur witr sey pehly koi tervia nahi hota, lehaza taraveeh ka naam he 8 rakat ki terdeed kerta hai. Lehaza taraveeh 8 rakat perhna kahi per bhi sabit nahi hai, na he koi eski koi daleel la sakta hai.

    Ab hum SAHABA k dalail pesh kerty hain:

    -Hazrat Umer رضی الله عنہ ney apny zamana-e-KHILAFAT main 20 rakat namaz-e-Taraveeh ki jama'at ka baqaida intizam kia aur eshe per SAHABA ka ijma hua.(Mauta Imam Maalik, Kitab-us-Salah, V:1, Page:115, Hadees:252)

    Gheir Muqalid k liay dalail:

    -Ibn-e-Abi Sheiba aur tibrani kabeer main aur Abdullal ibn-e-hameed ney riwayat ki"Taraveeh 20 rakat hai aur 20 rakat he perhi jai gi".(Musanif Ibn-e-Abi Sheiba, V:2, Page:124, Hadees:7692)

    -"Ahl-e-ilm ka aml es per hai jo Hazrat Ali-o-Umer رضی الله عنہ aur deegar SAHABA sey merwi hai k taraveeh 20 rakat hai, Sufiyan Soori, Ibn-e-Mubarik aur Imam Shafaee ney apny sheher makka muazama main yehi cheez raij dekhi k musalman 20 rakat taaveeh perhty they".(Sanan Al-Tirimzi, V:3, Page:149, Hadees:806)

  •  



    Comments are closed.

      Author

         Bazm E ShahzadaE Aala Hazrat Huzoor Mufti E Azam Hind
      Allama Maulana Muhammad Mustafa Raza Khan

       رحمتہ اﷲ تعالیٰ علیہ 


    Powered by Create your own unique website with customizable templates.